3 piece suite

https://www.amazon.com/dp/B07Q2VHWL2?&linkCode=ll1&tag=enamul777-20&linkId=046251361e98cb577da106ad19aef212&language=en_US&ref_=as_li_ss_tl

सोमवार, 12 अगस्त 2019

#Homeo paithy rogka nahi rogi ka ilaaj karta hai

Homeo paithy rogka nahi rogi ka ilaaj karta hai 
Rogka naam keya hai iska homeo paithy me koyee mahatw nahi, MAHATW SIMPTOMS  ka hai 


Homeo paithy ka koee bhi dawa kisi bimaari ke liye petent nahi hai
AK takleef ke liye bahut sare dawa dekhne ko milega

Agar kahin pe Dard hai To dard ke liye aapko kamse kam 15 dawa milega
Bukhaar hai To bukhaar ke liye aapko bahut sare dawa milega isi trah har trah ke लच्छन के लिए ( simptom)  ke liye trah Trah ke dawa meterya medica me dekhne ko milega

Lekin
Homeo paithy se ilaaj karne ke liye simptoms ko milana hoga JAISE
Aapke paas koee mareez aata hai To aap uske traf sawaalia? Nigaah utha kar poochhte hain ke aapko keya takleef hai

To woh jawaab deta hai ke
Doctor Sahab mujhe raat me nind nahi aata hai itna bolkar mareez chup hojaata hai
Phir aap usse pochchenge aur koee takleef

To phir woh mareez jobhi apne zubaan se kahega uske kahe Gaye baton ko likhna hoga AAP use 📝 note karte jayenge

Aapko jo jaankaari chahye woh ye hai

1 rog kahan hai, aur kabse hai
2 rogi ka hulia aur mijaaz
3 rogi mahsoos keya karta hai, (jalan, thandhak, garmi)
4 uske khaandan me logonko koee rog agar tha to kaunsa rog tha
5 rogi ko kaunsa mausam pasand hai

Homeo paithy se ilaaj karne ke liye aapko in tamaam baton ko dheyan me rakhker
Jab aap MATERIA MEDICA ka adhean krenge to us samay jis dawa Ka simptom sabse zeyada milta hai us dawa ka onchi potency ka 1 bond zubaan per tapka den
Aur mareez ko tasalli ke liye bagair dawa milaye kuch goliyon ko dekar

Use kahey ke 1 hafte baab aana
HOMEO Paithy ka niyam hai (minimum single dose)  MATLAB kamse kam matra aur AK khuraaq

Homeo paithy se ilaaj Karna bahut aasan hai shirt yeh hai ke aap materia medica ka khoob achchi Tarah samajhkar adhdheyan Karen

Har AK dawa ko 10 -10 baar padhen
Pahle To aapko aisa lagega ke sab dawa AK trah ka hai MAGAR gor kerne per aap dekhenge ke har dawa ka AK khaas simptom hai


Jaise AK dawa hai SULPHUR yeh dawa gadhak se tayyar kiya jaata hai
Homeo paithy me ise anti psoric kahte hain

Is dawa ka simptom is dawa asar charm aur chamde ke samaan jo tantu hai unpar iski pardhaan kirya hoti hai

Sulphur ke sabhi takleef garmi se badh jaate hain thandhe pani ke baahri paryug se sir dard aur kabhi kabhi charm rog ki khujli ghat Jaya karti hai ilaaj suru karne ke pahle iski 12 number Aksar rogi aur rogki naee ya puraani ko dekhte hue nichi ya onchi taqat,, iske alawa kisi bimaari me jo
Chamde par Ho nichi yane 6 ya 30 potency ka istemaal kani chahye

VISES Simptom,,  dubla patla, kubda, teji se chalne waala, tej buddhi, jald baaz, sabhi kamo me jald baji kerta hai, maleen, ganda lagaye rahta hai sulphur ka mreez nahana pasand nahi karta kionke nahana se uski bimaari badh jaati hai

Iske mareez ko akser charm rog hojaya karta hai aise logon par sulphur ki asar zeyada hota hai

Homeo paithy dawa ka sahi chunau hogaya aur uske paryug se fayeda nahi ho raha hai To beech me sulphur ka AK khoraak Dena chahye


Agar kisi dawa ke baahri paryog se koee charm rog dab gayaho aur koee anduruni bimaari hojata hai To waise halat me sulphur ko Dena hoga


Our rog theek hojaye aur thode din baad phir lot aaye to sulphur se puri trah theek Ho jaata hai

Shreer me jagah jagah aag se jaljane ki Tarah jalan,

Hanth pair khaaskar pair ke talwe me jalan aur isi jalan ki wajahse use hamesha bichhawan ke bahar nikale rahta hai

Baar baar achchhi Tarah shareer dhone par bhi uski badbu nahi jati

Aadhi raat ke baad rog badhta hai, dinke 11 baje ke waqt petme khali pan ka ahsaas hota hai aur jalan hota hai

Pair ke potli aur pair ke talwe me jalan aur ainthan

Onth laal, dinke samay onghaee aur raatme nind na aana
Din me 2-3 baar sar chakraana

Phephde me balgam ikaththa Ho kar gala ghad ghadana (bayen phephde me adhik)

Sawere khansi ka badhna
Sulphur karogi agar bachcha hai To woh hamesha khane ko mangta hai  hamesha bhuka rahta hai khane ke liye ren ren karta rahta hai

Sulphur Ka jo mareez hota hai uski nind bahut sabere khuljata hai aur uthte hi wash room ke taraf bhaagta hai rok rakhne ki taqat bahut kam hota hai

Peshaab ki jagah ya malduaar ki khaal udhad kar laal hojata hai

Bawaseer iske sathhi Malduar me khujli aur jalan

MAANSIK lachh chhan (simptom)

Sulphur Ka mareez tunuk mijaz hota hai woh kisi ke saath baat Karna pasad nahi karta

Sabko Dosi thahrata hai

Sulphur ke mareez ka AK khaas alamat hai ke woh zeyada der kaheen par khada nahi rah sakta


To mere dost sabhi dawaka AK khaas alamat (simptom) hota hai

Homeo paithy ka dawa,

CALCAREA carbonicum
Iska rogi khoob mota hota hai
Bachche aise ke unka hilna dolna muskil hota hai hanth pauon patle aur maatha bada hota hai


GRAPHITES

Yeh dawa mhilaon ko zeyada fayeda karta
Aisi Mahila jo moti hon jinka Mans thul thula hai jo hamesa dukhi aur udaas rahti Ho
Jinke manme hamesha amangal ki asanka rahti Ho

Graphites ka 3F hamesha yad rakhye  fair, fatty, aur flabby
Yane gora pan, mutapa aur thul thula pan


Mahilaon ke yowan kaal ki jin bimaaryon me PULSTILA Di jaati hai unhi mahilaon ko 45 ki hojane par GRAPHITES Di jaati hai


To mere dost aap materia medica ko dheyaan dekar addheyan karenge to har dawa ka khaas simptom ko aap yaad kar loge

Beech beech me apne paraye ko dawaki AK do khuraak dekar aazmate raho ge to aapko pata chalta rahega ke kahan galti huee hai aur kahan sahi

Agar mera likha use full laga Ho to apne doston ko shear kar Dena
Aur mujh se koee sawaal Karna Ho to
Mera, email address enamulhaqueansari65@gmail.com

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें